Aaj ki duniya ho gayi hai digital,
Yaad aate hai vo puraane pal;

Kabhi hathon ki shaan hota tha humara bat,
Aaj agar dikh jaye to aa jata hai on snapchat;

Kabhi sath me bata karte the sab sukh dukh,
Aaj kal bus milte hai on Facebook;

Rakhna kuch nahi par chaiye hume tommy ke bags,
Aakhir use jo karne hota hai hume #hashtags;

Online duniya choos rahi hai humara khoon,
Aur hum khush hai bana ke prisma pe apna hi cartoon;

Har photo guzarti hai instagram ke filters se,
Vo dekho pyaar mil raha hai tinder pe;

Ae pathar ke insaan tum kab pighloge,
Is banawat ki duniya se bahar kab nikloge?

– Deepak Malhotra